shama hun phool hun ya reit ke qadmoon ka neshan , aap ko haq he mujhe jo bhi jii chahe kehde.
The book of love,life and longing reached completion this day thirty-first of march nineteen seventy-two.
The candle extinguished itself before dawn.
The flower weathered and her steps not traceable.
***************
tukre tukre din beeta dachi dachi raat meli
jeska jetna anchal tha utni hi soghat meli.
jab chaha dil ko samjhe hansne ki awaaz sunii,
jese koi kehta ho le per tuj ko maat meli.
moutein ke si batein kya jhelte rehna aaj peher,
dil ka saati jab paya be cheini bhi saath meli.........
*******
akelepan ki wahi naar sehra mein,
ulgi bekri huwii taqdeer ki lakerou'n mein geri
sufaid kaproun se zakhmoon ko apne dampe huwey,
per wahi me wahi chehra wahi nam-e-sakoot
dua'n dua'n se nazer our wahi sannata
per se ehsaas ne pehna hai be-hesi ka lebaas,
sawaal ban gayii be-waja zindagi per se,
jawaab jes ka wahi heraan si khamoshii hai....
*******
chand tanha hai asmaan tanha,
dil mila hai kahaan kahaan tanhaa.
bujh gaii aas chup gaya taara,
ther tharata raha duan tanhaa.
zindagi kya isii ko kehte hain
jism tanha hai aur jaan tanhaa.
hamsafer koii gar mele bhi kahein,
dunon chalte rahe tanhaa tanhaa.
jelti bhujti sii roshanii ke pare.
simta simta sa ek makaan tanhaa.
raah deka karega sadiyon tak,
chore jayenge ye jahaan tanhaa.
.....Meena Kumari.....
Hindi movie : Bahaana
Resung by : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Beraham aasmaan meri manzil bata hai kahaan
jo na sochaa thaa wo ho gayaa
kyon nasiibaa meraa so gayaa
Gam kii aisii ghataa chhaa gayii
chain dil kaa kahiin kho gayaa
ye bataa kis liye
le rahaa hai meraa imtihaaN
beraham aasamaan ...
Bujh gayaa hai ye dil is tarah
chaand pichhale pahar jis tarah
itanii taariikiyon men bataa
raah dhuundhe koii kis tarah
kho gayiin manzilen
ho gayaa gum kahiin kaaravaan
beraham aasamaan ...
jaa rahe.n hai.n na jaane kidhar
dekh sakatii nahii.n kuchh nazar
chhod di naav manjhadhaar men
kis kinaare lage kyaa Kabar
kyaa kare.n duur tak
roshanii kaa nahii.n hai nishaa.N
beraham aasamaa.N ...
mujh se qisamat ne dhokha kiya
har qadam pe naya gam diya
hai khushi ki qasam ki yahaan
chain ka saans tak na liya
bujh gaya dil mera
raas aaya na tera jahaan
beraham aasamaan
teri duniyaan mein yuun ham jiye
aansuyon ke samundar piye
dil mein shiqave tadapate rahe
honth lekin hamesha siye
kab talaq ham rahein
teri duniyaan mein yuun bezubaan
beraham aasamaan
ab koi bhi tamanna nahin
ab yahaan ham ko jina nahin
zindagi ab tere jaam se
ek qatara bhi pina nahin
maut ko bhej ke
khatm kar de meri dastaan
beraham aasamaan
Hindi movie : Ek Jaan Hain Hum
Resung by : Dr K Chaudhry
Album : Mere Taraane
Yaad teri aayegi mujhko bada satayegi
Zid yeh joothi teri meri jaan leki jayegi
yaad teri....
Tera saath choota toota dil to ye maana
Kitna hai mushkil dil se yaar ko bhulana
Dil ka humesha se hai dusman zamana
Gham ye hai tune mujhe naa pehchana, naa pechchana
yaad teri ...
Bujh gaya suraj jaale chaand taare
Nazre dhuaan hai dhuaan saare nazaare
Mujhe dil lagane ki kya tune saaza di
Bina soche samjhe dil ke duniya jala di
Duniya jala di
yaad teri ..
Haas ke sahoonga saare duniya ke ye gham
Mar bhi gaya tho hoga pyaar nahi kam
Cheen le tujhe jo mujhse kisme hai yeh dum
Tan se juda hai to kya ek jaan hain hum, ek jaan hain hum
Ek jaan hai hum, yaad teri ...