Haan judaai se darta hai dil Maut se to mein darti nahin
Aur darti to sun le sanam Pyaar tujhse main karti nahin
Ek armaan is paar hai Ek armaan us paar hai
Humne khud hi banayi thi jo Raaste mein woh deewar hai
Ek khushi dil ne kya maang li Har khushi ko nazar lag gayi
Zindagi jab kareeb aayi to Zindagi ko nazar lag gayi
Ab tamanna ho dil main koi Main tamanna bhi karti nahin
Aur darti to sun le sanam Pyaar tujhse main karti nahin
Man se man ka hai bandhan agar Tan mile na mile kuch nahin
Man ka chandan mehekta rahe Man hi sab kuchh hai tan kuchh nahin
Aasmaanon mein so jayega Dastaanon mein kho jayega
Tan kisi roz ban kar dhuaan In hawaaon ka ho jayega
Pyaar rehta hai zinda sada Aatma hai yeh marti nahin
Aur darti to sun le sanam Pyaar tujhse main karti nahin
Haan judaai se darta hai dil Maut se to mein darti nahin
Aur darti to sun le sanam Pyaar tujhse main karti nahin